Aayi hai jo tu subah ki tarah,
Jo na dhal paaye, main woh shaam hoon.
Ban gayi tu wajood mera,
Us wajood ka main ek naam hoon.

Phir raha tha banjaare sa,
Na pata, na thikana tha.
Itna sab jo hai khoobsurat sa,
Tujhse pehle veeraana tha.

Aankhen meri jo dekhti hai,
Har nazar mein tera aks hai.
Kehti hai zubaan bhi sirf yahi,
Ki jo tu samjhe wahi lafz hai.

Chhin sa gaya tha khud se,
Us andhere mein woh taaqat mili.
Mujhe tu vapas le aayi,
Sirf tujhme woh nazaqat mili.

Itna toh main bhi jaanta tha,
Ki banti ummedein toot jaati hain,
Insaan ko loot jaati hain.

Par ye ab samjha,
Ummeedein sab bana deti hain,
Sote se jaga deti hain.

Main toot gaya tha kaanch sa,
Tu aayi hai, judna chahta hoon.
Main bikhar gaya tha kaanch sa,
Tu aayi hai, phirse banna chahta hoon.
Kuch banna chahta hoon.

Badalna aasaan nahi,
Har tabdeeli ki vajah hoti hai.
Mujhe jo tu badal chuki hai,
Meri vajah sirf tu hoti hai.

Log kuch bhi kahein tujhe,
Tera nahi koi kusoor hai.
Mann tera saaf hai,
Us pe mujhe guroor hai.

Ab jeena hai,
Saath tere achcha lagta hai.
Ab hasna hai,
Saath tere achcha lagta hai.

Tasveer chahiye dil mein, saath tere.
Takdeer chahat ki, saath tere.

Tu mili hai, ab hum hain.

Ab bas jeena hai………………………………Saath tere !